yun hi har baat pe hansne ka bahaana aaye
phir vo ma'soom sa bachpan ka zamaana aaye
kaash lautain mere paapa bhi khilone le kar
kaash phir se mere haathon mein khazana aaye
kaash duniya ki bhi fitrat ho meri maa jaisi
jab main bin baat ke roothoon to manana aaye
ham ko qudrat hi sikha deti hai kitni baatein
kaash khambe ko qudrat sa padhaana aaye
aah sahsa kabhi school se chhutti jo mile
cheekh kar bacchon ka vo shor machaana aaye
aaj bachpan kahi baston mein hi uljha hai sahaab
phir vo titli ko pakadna vo udhaana aaye
यूँ ही हर बात पे हँसने का बहाना आए
फिर वो मा'सूम सा बचपन का ज़माना आए
काश लौटें मिरे पापा भी खिलौने ले कर
काश फिर से मिरे हाथों में ख़ज़ाना आए
काश दुनिया की भी फ़ितरत हो मिरी माँ जैसी
जब मैं बिन बात के रूठूँ तो मनाना आए
हम को क़ुदरत ही सिखा देती है कितनी बातें
काश उस्तादों को क़ुदरत सा पढ़ाना आए
आह सहसा कभी स्कूल से छुट्टी जो मिले
चीख़ कर बच्चों का वो शोर मचाना आए
आज बचपन कहीं बस्तों में ही उलझा है 'सहाब'
फिर वो तितली को पकड़ना वो उड़ाना आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajay Sahaab
our suggestion based on Ajay Sahaab
As you were reading Masti Shayari Shayari