kabhi ahl-e-mohabbat yun na khauf-e-jism-o-jaan karte | कभी अहल-ए-मोहब्बत यूँ न ख़ौफ़-ए-जिस्म-ओ-जाँ करते - Ajiz Matvi

kabhi ahl-e-mohabbat yun na khauf-e-jism-o-jaan karte
agar shaikh-o-barhaman jashn-e-naqoos-o-azaan karte

nawaazish kaash mujh par itni mere meherbaan karte
kabhi dil ki tasalli ke liye bhule se haan karte

hamaare jazba-e-taameer se hote agar waqif
to sadiyon barq ke sholay tawaaf-e-aashiyaan karte

fasurda yun na hote guncha-o-gul mausam-e-gul mein
agar dil se chaman ki aabiyaari baagbaan karte

naved-e-fasl-e-gul aate hain dil apna tadap utha
aseer-e-gham hain warna hum bhi sair-e-gulistaan karte

fazaa-e-saahil-e-ummeed agar kuch raas aa jaati
to hum kyun nazr-e-toofaan kashti-e-umr-e-ravaan karte

humein bhi mil gai hoti sanad manzil-shanaasi ki
saleeke se agar taqleed meer-e-kaarwaan karte

kabhi baad-e-saba ban kar kabhi jaarub-kash ho kar
tamannaa thi musalsal hum tawaaf-e-aastaan karte

tha chup rahna hi behtar un ki bazm-e-naaz mein aajiz
koi gham-aashna hota to sharh-e-daastaan karte

कभी अहल-ए-मोहब्बत यूँ न ख़ौफ़-ए-जिस्म-ओ-जाँ करते
अगर शैख़-ओ-बरहमन जश्न-ए-नाक़ूस-ओ-अज़ाँ करते

नवाज़िश काश मुझ पर इतनी मेरे मेहरबाँ करते
कभी दिल की तसल्ली के लिए भूले से हाँ करते

हमारे जज़्बा-ए-तामीर से होते अगर वाक़िफ़
तो सदियों बर्क़ के शो'ले तवाफ़-ए-आशियाँ करते

फ़सुर्दा यूँ न होते ग़ुंचा-ओ-गुल मौसम-ए-गुल में
अगर दिल से चमन की आबियारी बाग़बाँ करते

नवेद-ए-फ़स्ल-ए-गुल आते हैं दिल अपना तड़प उट्ठा
असीर-ए-ग़म हैं वर्ना हम भी सैर-ए-गुलिस्ताँ करते

फ़ज़ा-ए-साहिल-ए-उम्मीद अगर कुछ रास आ जाती
तो हम क्यूँ नज़्र-ए-तूफ़ाँ कश्ती-ए-उम्र-ए-रवाँ करते

हमें भी मिल गई होती सनद मंज़िल-शनासी की
सलीक़े से अगर तक़लीद मीर-ए-कारवाँ करते

कभी बाद-ए-सबा बन कर कभी जारूब-कश हो कर
तमन्ना थी मुसलसल हम तवाफ़-ए-आस्ताँ करते

था चुप रहना ही बेहतर उन की बज़्म-ए-नाज़ में 'आजिज़'
कोई ग़म-आश्ना होता तो शरह-ए-दास्ताँ करते

- Ajiz Matvi
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajiz Matvi

As you were reading Shayari by Ajiz Matvi

Similar Writers

our suggestion based on Ajiz Matvi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari