ro ro ke bayaan karte firo ranj-o-alam khoob | रो रो के बयाँ करते फिरो रंज-ओ-अलम ख़ूब - Ajmal Siddiqui

ro ro ke bayaan karte firo ranj-o-alam khoob
haasil nahin kuch bhi jo na ho rang-e-qalam khoob

bazaar mein ik cheez nahin kaam ki mere
ye shehar meri jeb ka rakhta hai bharam khoob

manzil to kisi khaas ko hi milti hai warna
dekhe to sabhi ne hain mere naqsh-e-qadam khoob

ye theek hai rishte mein bandha rehta hai ab dil
is kaabe mein hota tha kabhi jashn-e-sanam khoob

रो रो के बयाँ करते फिरो रंज-ओ-अलम ख़ूब
हासिल नहीं कुछ भी जो न हो रंग-ए-क़लम ख़ूब

बाज़ार में इक चीज़ नहिं काम की मेरे
ये शहर मिरी जेब का रखता है भरम ख़ूब

मंज़िल तो किसी ख़ास को ही मिलती है, वर्ना
देखे तो सभी ने हैं मिरे नक़्श-ए-क़दम ख़ूब

ये ठीक है रिश्ते में बँधा रहता है अब दिल
इस काबे में होता था कभी जश्न-ए-सनम ख़ूब

- Ajmal Siddiqui
0 Likes

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siddiqui

As you were reading Shayari by Ajmal Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari