zindagi roz banaati hai bahaane kya kya | ज़िंदगी रोज़ बनाती है बहाने क्या क्या

  - Ajmal Siddiqui

zindagi roz banaati hai bahaane kya kya
jaane rahte hain abhi khel dikhaane kya kya

sirf aankhon ki nami hi to nahin mazhar-e-gham
kuchh tabassum bhi jata dete hain jaane kya kya

khatken is aankh mein to dhadken kabhi us dil mein
dar-b-dar ho ke bhi apne hain thikaane kya kya

bol padta to meri baat meri hi rahti
khaamoshi ne hain diye sab ko fasaane kya kya

shehar mein rang jama gaav mein faslen ujdeen
hashr uthaya bina mausam ki ghatta ne kya kya

khwaab o ummeed ka haq aah ka fariyaad ka haq
tujh pe vaar aaye hain ye tere deewane kya kya

ज़िंदगी रोज़ बनाती है बहाने क्या क्या
जाने रहते हैं अभी खेल दिखाने क्या क्या

सिर्फ़ आँखों की नमी ही तो नहीं मज़हर-ए-ग़म
कुछ तबस्सुम भी जता देते हैं जाने क्या क्या

खटकें इस आँख में तो धड़कें कभी उस दिल में
दर-ब-दर हो के भी अपने हैं ठिकाने क्या क्या

बोल पड़ता तो मिरी बात मिरी ही रहती
ख़ामुशी ने हैं दिए सब को फ़साने क्या क्या

शहर में रंग जमा गाँव में फ़सलें उजड़ीं
हश्र उठाया बिना मौसम की घटा ने क्या क्या

ख़्वाब ओ उम्मीद का हक़, आह का फ़रियाद का हक़
तुझ पे वार आए हैं ये तेरे दिवाने क्या क्या

  - Ajmal Siddiqui

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siddiqui

As you were reading Shayari by Ajmal Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari