itna karam itni ata phir ho na ho
tum se sanam vaada wafa phir ho na ho
ye hi hain din baagi agar banna hai ban
tujh par sitam kis ko pata phir ho na ho
shaayad ye manzar us ke aane tak hi ho
aankhon mein dam atka hua phir ho na ho
manzil tak apna saath hai gaate chalen
tu ham-qadam tu ham-nava phir ho na ho
aage thakan kar de na kam shauk-e-safar
naqsh-e-qadam par jaan fida phir ho na ho
इतना करम इतनी अता फिर हो न हो
तुम से सनम वादा वफ़ा फिर हो न हो
ये ही हैं दिन, बाग़ी अगर बनना है बन
तुझ पर सितम किस को पता फिर हो न हो
शायद ये मंज़र उस के आने तक ही हो
आँखों में दम अटका हुआ फिर हो न हो
मंज़िल तक अपना साथ है, गाते चलें
तू हम-क़दम तू हम-नवा फिर हो न हो
आगे थकन कर दे न कम शौक़-ए-सफ़र
नक़्श-ए-क़दम पर जाँ फ़िदा फिर हो न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siddiqui
our suggestion based on Ajmal Siddiqui
As you were reading Wada Shayari Shayari