bahaar aayi hai mastaana ghatta kuchh aur kahti hai
magar un shokh nazaron ki haya kuchh aur kahti hai
rihaai ki khabar kis ne udaai sehan-e-gulshan mein
aseeraan-e-qafas se to saba kuchh aur kahti hai
bahut khush hai dil-e-naadaan hawaa-e-koo-e-jaanaan mein
magar ham se zamaane ki hawa kuchh aur kahti hai
tu mere dil ki sun aaghosh ban kar kah raha hai kuchh
tiri neechi nazar to jaane kya kuchh aur kahti hai
meri jaanib se kah dena saba lahore waalon se
ki is mausam mein dehli ki hawa kuchh aur kahti hai
hui muddat ke may-noshi se tauba kar chuke akhtar
magar dehli ki mastaana fazaa kuchh aur kahti hai
बहार आई है मस्ताना घटा कुछ और कहती है
मगर उन शोख़ नज़रों की हया कुछ और कहती है
रिहाई की ख़बर किस ने उड़ाई सेहन-ए-गुलशन में
असीरान-ए-क़फ़स से तो सबा कुछ और कहती है
बहुत ख़ुश है दिल-ए-नादाँ हवा-ए-कू-ए-जानाँ में
मगर हम से ज़माने की हवा कुछ और कहती है
तू मेरे दिल की सुन आग़ोश बन कर कह रहा है कुछ
तिरी नीची नज़र तो जाने क्या कुछ और कहती है
मिरी जानिब से कह देना सबा लाहौर वालों से
कि इस मौसम में देहली की हवा कुछ और कहती है
हुई मुद्दत के मय-नोशी से तौबा कर चुके 'अख़्तर'
मगर देहली की मस्ताना फ़ज़ा कुछ और कहती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Shirani
our suggestion based on Akhtar Shirani
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari