dil-e-mahjoor ko taskin ka saamaan na mila | दिल-ए-महजूर को तस्कीन का सामाँ न मिला

  - Akhtar Shirani

dil-e-mahjoor ko taskin ka saamaan na mila
shahr-e-jaanaan mein hamein maskan-e-jaanaan na mila

koocha-gardi mein kateen shauq ki kitni raatein
phir bhi us sham-e-tamanna ka shabistaan na mila

poochte manzil-e-salma ki khabar ham jis se
waadi-e-najd mein aisa koi insaan na mila

yun to har raahguzar par the sitaare raksaan
jis ki hasrat thi magar vo mah-e-taabaaan na mila

laala-o-gul the bahut aam chaman mein lekin
dhoondte the jise vo sarv-e-khiraamaan na mila

jis ke pardo se machalti ho wahi nikhat-e-shauq
be-khudi ki qasam aisa koi aivaan na mila

bakht-e-be-daar kahaan jalwa-e-dil-daar kahaan
khwaab mein bhi hamein vo guncha-e-khandaan na mila

bekasi tishna-labi dard-e-halaawat-talbi
chaandni-raat mein bhi chashma-e-haivaan na mila

yun to har dar pe hi kahte nazar aaye daaman
kheenchte naaz se jis ko wahi daamaan na mila

kis ke dar par na kiye sajde nigaahon ne magar
haaye taqdeer vo ghaarat-gar-e-eimaan na mila

kaun se baam ko rah rah ke na dekha lekin
nigah-e-shauq ko vo maah-e-khiraamaan na mila

dar-e-jaanaan pe fida karte dil-o-jaan akhtar
waaye bar-haal-e-dil-o-jaan dar-e-jaanaan na mila

दिल-ए-महजूर को तस्कीन का सामाँ न मिला
शहर-ए-जानाँ में हमें मस्कन-ए-जानाँ न मिला

कूचा-गर्दी में कटीं शौक़ की कितनी रातें
फिर भी उस शम-ए-तमन्ना का शबिस्ताँ न मिला

पूछते मंज़िल-ए-सलमा की ख़बर हम जिस से
वादी-ए-नज्द में ऐसा कोई इंसाँ न मिला

यूँ तो हर राहगुज़र पर थे सितारे रक़्साँ
जिस की हसरत थी मगर वो मह-ए-ताबाँ न मिला

लाला-ओ-गुल थे बहुत आम चमन में लेकिन
ढूँडते थे जिसे वो सर्व-ए-ख़िरामाँ न मिला

जिस के पर्दों से मचलती हो वही निकहत-ए-शौक़
बे-ख़ुदी की क़सम ऐसा कोई ऐवाँ न मिला

बख़्त-ए-बे-दार कहाँ जल्वा-ए-दिल-दार कहाँ
ख़्वाब में भी हमें वो गुंचा-ए-ख़ंदाँ न मिला

बेकसी तिश्ना-लबी दर्द-ए-हलावत-तलबी
चाँदनी-रात में भी चश्मा-ए-हैवाँ न मिला

यूँ तो हर दर पे ही कहते नज़र आए दामन
खींचते नाज़ से जिस को वही दामाँ न मिला

किस के दर पर न किए सज्दे निगाहों ने मगर
हाए तक़दीर वो ग़ारत-गर-ए-ईमाँ न मिला

कौन से बाम को रह रह के न देखा लेकिन
निगह-ए-शौक़ को वो माह-ए-ख़िरामाँ न मिला

दर-ए-जानाँ पे फ़िदा करते दिल-ओ-जाँ 'अख़्तर'
वाए बर-हाल-ए-दिल-ओ-जाँ दर-ए-जानाँ न मिला

  - Akhtar Shirani

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari