kis ko dekha hai ye hua kya hai | किस को देखा है ये हुआ क्या है

  - Akhtar Shirani

kis ko dekha hai ye hua kya hai
dil dhadakta hai maajra kya hai

ik mohabbat thi mit chuki ya rab
teri duniya mein ab dhara kya hai

dil mein leta hai chutkiyaan koi
haaye is dard ki dava kya hai

hooren nekon mein bat chuki hongi
baagh-e-rizwaan mein ab rakha kya hai

us ke ahad-e-shabaab mein jeena
jeene waalo tumhein hua kya hai

ab dava kaisi hai dua ka waqt
tere beemaar mein raha kya hai

yaad aata hai lucknow akhtar
khuld ho aayein to bura kya hai

किस को देखा है ये हुआ क्या है
दिल धड़कता है माजरा क्या है

इक मोहब्बत थी मिट चुकी या रब
तेरी दुनिया में अब धरा क्या है

दिल में लेता है चुटकियाँ कोई
हाए इस दर्द की दवा क्या है

हूरें नेकों में बट चुकी होंगी
बाग़-ए-रिज़वाँ में अब रखा क्या है

उस के अहद-ए-शबाब में जीना
जीने वालो तुम्हें हुआ क्या है

अब दवा कैसी है दुआ का वक़्त
तेरे बीमार में रहा क्या है

याद आता है लखनऊ 'अख़्तर'
ख़ुल्द हो आएँ तो बुरा क्या है

  - Akhtar Shirani

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari