kya kah gai kisi ki nazar kuch na poochiye | क्या कह गई किसी की नज़र कुछ न पूछिए - Akhtar Shirani

kya kah gai kisi ki nazar kuch na poochiye
kya kuch hua hai dil pe asar kuch na poochiye

vo dekhna kisi ka kankhiyon se baar baar
vo baar baar us ka asar kuch na poochiye

ro ro ke kis tarah se kati raat kya kahein
mar mar ke kaise ki hai sehar kuch na poochiye

akhtar dayaar-e-husn mein pahunchen hain mar ke hum
kyoon-kar hua hai tay ye safar kuch na poochiye

क्या कह गई किसी की नज़र कुछ न पूछिए
क्या कुछ हुआ है दिल पे असर कुछ न पूछिए

वो देखना किसी का कनखियों से बार बार
वो बार बार उस का असर कुछ न पूछिए

रो रो के किस तरह से कटी रात क्या कहें
मर मर के कैसे की है सहर कुछ न पूछिए

'अख़्तर' दयार-ए-हुस्न में पहुँचे हैं मर के हम
क्यूँ-कर हुआ है तय ये सफ़र कुछ न पूछिए

- Akhtar Shirani
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari