jafaa ki rasm-e-sitam ka rivaaj badlega | जफ़ा की रस्म-ए-सितम का रिवाज बदलेगा

  - Akhtar Ziai

jafaa ki rasm-e-sitam ka rivaaj badlega
faqih-e-shahr ka aakhir mizaaj badlega

main jaanta hoon badalti rutoon ki khushboo se
hawaa-e-dasht tira imtizaaj badlega

jumood-e-marg numood asl zindagi hai to phir
jo kal na badla yaqeenan vo aaj badlega

khuloos-o-mehr-o-wafa khwaab ho gaye jaise
na jaane kab ye nahoosat ka raaj badlega

naye shu'ur ke charche hain chaar soo akhtar
mujhe yaqeen hai ye kohna samaaj badlega

जफ़ा की रस्म-ए-सितम का रिवाज बदलेगा
फ़क़ीह-ए-शहर का आख़िर मिज़ाज बदलेगा

मैं जानता हूँ बदलती रुतों की ख़ुश्बू से
हवा-ए-दश्त तिरा इम्तिज़ाज बदलेगा

जुमूद-ए-मर्ग नुमूद अस्ल ज़िंदगी है तो फिर
जो कल न बदला यक़ीनन वो आज बदलेगा

ख़ुलूस-ओ-मेहर-ओ-वफ़ा ख़्वाब हो गए जैसे
न जाने कब ये नहूसत का राज बदलेगा

नए शुऊ'र के चर्चे हैं चार सू 'अख़्तर'
मुझे यक़ीं है ये कोहना समाज बदलेगा

  - Akhtar Ziai

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ziai

As you were reading Shayari by Akhtar Ziai

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ziai

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari