kisi ke waada-e-farda par e'tibaar to hai | किसी के वादा-ए-फ़र्दा पर ए'तिबार तो है

  - Aleem Akhtar

kisi ke waada-e-farda par e'tibaar to hai
tulu-e-subh-e-qayamat ka intizaar to hai

meri jagah na rahi teri bazm mein lekin
tiri zabaan pe mera zikr-e-naagawar to hai

mata-e-dard ko dil se aziz rakhta hoon
ki ye kisi ki mohabbat ki yaadgaar to hai

ye aur baat ki iqaar kar saken na kabhi
meri wafa ka magar un ko e'tibaar to hai

maqaam-e-dil koi manzil na ban saka na sahi
tiri nigaah-e-mohabbat ki rahguzar to hai

vo zauq-e-deed na shauq-e-nazara ab lekin
meri nazar ko abhi un ka intizaar to hai

agar nigah-e-karam sheva ab nahin na sahi
meri taraf abhi chashm-e-sitam-shiaar to hai

ye aur baat naseeb-e-nazar nahin lekin
nafs nafs tire jalvo se ham-kinaar to hai

zamaana saath nahin de raha to kya akhtar
abhi jilau mein mere bakht-e-saazgaar to hai

किसी के वादा-ए-फ़र्दा पर ए'तिबार तो है
तुलू-ए-सुब्ह-ए-क़यामत का इंतिज़ार तो है

मिरी जगह न रही तेरी बज़्म में लेकिन
तिरी ज़बाँ पे मिरा ज़िक्र-ए-नागवार तो है

मता-ए-दर्द को दिल से अज़ीज़ रखता हूँ
कि ये किसी की मोहब्बत की यादगार तो है

ये और बात कि इक़रार कर सकें न कभी
मिरी वफ़ा का मगर उन को ए'तिबार तो है

मक़ाम-ए-दिल कोई मंज़िल न बन सका न सही
तिरी निगाह-ए-मोहब्बत की रहगुज़ार तो है

वो ज़ौक़-ए-दीद न शौक़-ए-नज़ारा अब लेकिन
मिरी नज़र को अभी उन का इंतिज़ार तो है

अगर निगाह-ए-करम शेवा अब नहीं न सही
मिरी तरफ़ अभी चश्म-ए-सितम-शिआर तो है

ये और बात नसीब-ए-नज़र नहीं लेकिन
नफ़स नफ़स तिरे जल्वों से हम-कनार तो है

ज़माना साथ नहीं दे रहा तो क्या 'अख़्तर'
अभी जिलौ में मिरे बख़्त-ए-साज़गार तो है

  - Aleem Akhtar

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleem Akhtar

As you were reading Shayari by Aleem Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Aleem Akhtar

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari