saare mausam badal gaye shaayad | सारे मौसम बदल गए शायद

  - Aleena Itrat

saare mausam badal gaye shaayad
aur ham bhi sambhal gaye shaayad

jheel ko kar ke mahtaab supurd
aks pa kar bahl gaye shaayad

ek thehraav aa gaya kaisa
zaaviye hi badal gaye shaayad

apni lau mein tapa ke ham khud ko
mom ban kar pighal gaye shaayad

kaanpati lau qaraar paane lagi
jhonke aa kar nikal gaye shaayad

ham hawa se bacha rahe the jinhen
un charaagon se jal gaye shaayad

ab ke barsaat mein bhi dil khush hai
hijr ke khauf tal gaye shaayad

saaf hone lage sabhi manzar
ashk aankhon se dhal gaye shaayad

baarish-e-sang jaise baarish-e-gul
saare patthar pighal gaye shaayad

vo aleena badal gaya tha bahut
is liye ham sambhal gaye shaayad

सारे मौसम बदल गए शायद
और हम भी सँभल गए शायद

झील को कर के माहताब सुपुर्द
अक्स पा कर बहल गए शायद

एक ठहराव आ गया कैसा
ज़ाविए ही बदल गए शायद

अपनी लौ में तपा के हम ख़ुद को
मोम बन कर पिघल गए शायद

काँपती लौ क़रार पाने लगी
झोंके आ कर निकल गए शायद

हम हवा से बचा रहे थे जिन्हें
उन चराग़ों से जल गए शायद

अब के बरसात में भी दिल ख़ुश है
हिज्र के ख़ौफ़ टल गए शायद

साफ़ होने लगे सभी मंज़र
अश्क आँखों से ढल गए शायद

बारिश-ए-संग जैसे बारिश-ए-गुल
सारे पत्थर पिघल गए शायद

वो 'अलीना' बदल गया था बहुत
इस लिए हम सँभल गए शायद

  - Aleena Itrat

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari