zinda rahne ki ye tarkeeb nikaali main ne | ज़िंदा रहने की ये तरकीब निकाली मैं ने

  - Aleena Itrat

zinda rahne ki ye tarkeeb nikaali main ne
apne hone ki khabar sab se chhupa li main ne

jab zameen ret ki maanind sarkati paai
aasmaan thaam liya jaan bacha li main ne

apne suraj ki tamaazat ka bharam rakhne ko
narm chaanv mein kaddi dhoop mila li main ne

marhala koi judaai ka jo darpaish hua
to tabassum ki rida gham ko odha li main ne

ek lamhe ko tiri samt se utha baadal
aur baarish ki si ummeed laga li main ne

ba'ad muddat mujhe neend aayi bade chain ki neend
khaak jab odh li jab khaak bichha li main ne

jo aleena ne sar-e-arsh dua bheji thi
us ki taaseer yahin farsh pe pa li main ne

ज़िंदा रहने की ये तरकीब निकाली मैं ने
अपने होने की ख़बर सब से छुपा ली मैं ने

जब ज़मीं रेत की मानिंद सरकती पाई
आसमाँ थाम लिया जान बचा ली मैं ने

अपने सूरज की तमाज़त का भरम रखने को
नर्म छाँव में कड़ी धूप मिला ली मैं ने

मरहला कोई जुदाई का जो दरपेश हुआ
तो तबस्सुम की रिदा ग़म को ओढ़ा ली मैं ने

एक लम्हे को तिरी सम्त से उट्ठा बादल
और बारिश की सी उम्मीद लगा ली मैं ने

बा'द मुद्दत मुझे नींद आई बड़े चैन की नींद
ख़ाक जब ओढ़ ली जब ख़ाक बिछा ली मैं ने

जो 'अलीना' ने सर-ए-अर्श दुआ भेजी थी
उस की तासीर यहीं फ़र्श पे पा ली मैं ने

  - Aleena Itrat

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari