bas najaat-e-zindagi to ishq-e-ruhaani mein hai | बस नजात-ए-ज़िंदगी तो इश्क़-ए-रूहानी में है

  - Aleena Itrat

bas najaat-e-zindagi to ishq-e-ruhaani mein hai
ye sazaa-e-maut sun kar jism hairaani mein hai

ret par faila hua hai khwaab jaisa ik saraab
khushk aankhon ka sukoon sehra ke is paani mein hai

iztiraabi kaifiyat hi is zameen ka hai naseeb
har ghadi gardish mein hai har dam pareshaani mein hai

kuchh ghubaar aankhon tak aaya raaz ham par tab khula
qaafila ab bhi koi is dil ki veeraani mein hai

phir kisi toofaan ki aamad ka andesha hua
phir qayamat si bapaa dariya ki tughyaani mein hai

yoonhi aasaani se jeene ka iraada kar liya
ye na dekha kitni mushkil aisi aasaani mein hai

is qadar oraak-e-maazi par chadha gard-o-ghubaar
shaayad ab in ki jagah bahte hue paani mein hai

apni mitti se aleena rooh ki ulfat to dekh
muztarib hai ye bahut gar tu pareshaani mein hai

बस नजात-ए-ज़िंदगी तो इश्क़-ए-रूहानी में है
ये सज़ा-ए-मौत सुन कर जिस्म हैरानी में है

रेत पर फैला हुआ है ख़्वाब जैसा इक सराब
ख़ुश्क आँखों का सुकूँ सहरा के इस पानी में है

इज़्तिराबी कैफ़ियत ही इस ज़मीं का है नसीब
हर घड़ी गर्दिश में है हर दम परेशानी में है

कुछ ग़ुबार आँखों तक आया राज़ हम पर तब खुला
क़ाफ़िला अब भी कोई इस दिल की वीरानी में है

फिर किसी तूफ़ान की आमद का अंदेशा हुआ
फिर क़यामत सी बपा दरिया की तुग़्यानी में है

यूँही आसानी से जीने का इरादा कर लिया
ये न देखा कितनी मुश्किल ऐसी आसानी में है

इस क़दर औराक़-ए-माज़ी पर चढ़ा गर्द-ओ-ग़ुबार
शायद अब इन की जगह बहते हुए पानी में है

अपनी मिट्टी से 'अलीना' रूह की उल्फ़त तो देख
मुज़्तरिब है ये बहुत गर तू परेशानी में है

  - Aleena Itrat

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari