leejie ham se ba-kamaal log bhi aam ho gaye
jin se gurez tha hamein ham se vo kaam ho gaye
aap ki bad-dua'-e-dil aakhir asar dikha gai
ham ko bhi ishq ho gaya ham bhi ghulaam ho gaye
chaadar-e-ehtiyaat aaj sar se hawa jo le udri
zulf ke saare pech-o-kham manzar-e-aam ho gaye
baagh-e-badan mein har taraf kaliyaan chatk chatk gaeein
baad-e-saba chali to ham khushboo khiraam ho gaye
aap se aap chhat gaye abr-e-ghaner hijr ke
ham bhi shab-e-siyaah se maah-e-tamaam ho gaye
mo'jiza ye nahin to kya nazrein miliin na baat ki
phir bhi salaam ho gaye phir bhi payaam ho gaye
ye kaar-e-ishq ka safar aise aleena tay hua
dil un ka ham ne rakh liya khud un ke naam ho gaye
लीजिए हम से बा-कमाल लोग भी आम हो गए
जिन से गुरेज़ था हमें हम से वो काम हो गए
आप की बद-दुआ'-ए-दिल आख़िर असर दिखा गई
हम को भी इश्क़ हो गया हम भी ग़ुलाम हो गए
चादर-ए-एहतियात आज सर से हवा जो ले उड़ी
ज़ुल्फ़ के सारे पेच-ओ-ख़म मंज़र-ए-आम हो गए
बाग़-ए-बदन में हर तरफ़ कलियाँ चटक चटक गईं
बाद-ए-सबा चली तो हम ख़ुशबू ख़िराम हो गए
आप से आप छट गए अब्र-ए-घनेर हिज्र के
हम भी शब-ए-सियाह से माह-ए-तमाम हो गए
मो'जिज़ा ये नहीं तो क्या नज़रें मिलीं न बात की
फिर भी सलाम हो गए फिर भी पयाम हो गए
ये कार-ए-इश्क़ का सफ़र ऐसे 'अलीना' तय हुआ
दिल उन का हम ने रख लिया ख़ुद उन के नाम हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleena Itrat
our suggestion based on Aleena Itrat
As you were reading Ishq Shayari Shayari