bagoola ban ke naachta hua ye tan guzar gaya
hawa mein der tak uda ghubaar aur bikhar gaya
hamaari mitti jaane kaun zarra zarra kar gaya
baghair shakl ye vujood chaak par bikhar gaya
ye rooh hasrat-e-wajood ki baqa ka naam hai
badan na ho saka jo khwaab rooh mein thehar gaya
ajab si kashmakash tamaam umr saath saath thi
rakha jo rooh ka bharam to jism mera mar gaya
har ek raah us ke vaaste thi be-qaraar aur
musaafir apni dhun mein manzilon se bhi guzar gaya
uda di raakh jism ki khala mein door door jab
aleena aasmaani noor rooh mein utar gaya
बगूला बन के नाचता हुआ ये तन गुज़र गया
हवा में देर तक उड़ा ग़ुबार और बिखर गया
हमारी मिट्टी जाने कौन ज़र्रा ज़र्रा कर गया
बग़ैर शक्ल ये वजूद चाक पर बिखर गया
ये रूह हसरत-ए-वजूद की बक़ा का नाम है
बदन न हो सका जो ख़्वाब रूह में ठहर गया
अजब सी कशमकश तमाम उम्र साथ साथ थी
रखा जो रूह का भरम तो जिस्म मेरा मर गया
हर एक राह उस के वास्ते थी बे-क़रार और
मुसाफ़िर अपनी धुन में मंज़िलों से भी गुज़र गया
उड़ा दी राख जिस्म की ख़ला में दूर दूर जब
'अलीना' आसमानी नूर रूह में उतर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleena Itrat
our suggestion based on Aleena Itrat
As you were reading Anjam Shayari Shayari