ban gaya tadbeer se har raasta taqdeer ka
ab nahin kuchh khauf pairo'n ko kisi zanjeer ka
kar diya khaamosh sholoon ne jala kar har varq
lafz phir bhi cheekhta ik rah gaya tahreer ka
khaak sargardaan hai har soo kuchh nahin badla yahan
dekhti hain ab bhi raahen raasta rahgeer ka
ek rukh par theen bahaarein ek rukh be-rang-o-noor
aur meri samt tha be-rang rukh tasveer ka
jab nishaane par mere dil ke siva kuchh bhi na tha
phir asar hota na kyun teri nazar ke teer ka
ham faqiri mein aleena shaad hain aabaad hain
kya hamein karna hai teri daulat-o-jaageer ka
बन गया तदबीर से हर रास्ता तक़दीर का
अब नहीं कुछ ख़ौफ़ पैरों को किसी ज़ंजीर का
कर दिया ख़ामोश शो'लों ने जला कर हर वरक़
लफ़्ज़ फिर भी चीख़ता इक रह गया तहरीर का
ख़ाक सरगर्दां है हर सू कुछ नहीं बदला यहाँ
देखती हैं अब भी राहें रास्ता रहगीर का
एक रुख़ पर थीं बहारें एक रुख़ बे-रंग-ओ-नूर
और मेरी सम्त था बे-रंग रुख़ तस्वीर का
जब निशाने पर मिरे दिल के सिवा कुछ भी न था
फिर असर होता न क्यूँ तेरी नज़र के तीर का
हम फ़क़ीरी में 'अलीना' शाद हैं आबाद हैं
क्या हमें करना है तेरी दौलत-ओ-जागीर का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleena Itrat
our suggestion based on Aleena Itrat
As you were reading Dil Shayari Shayari