khizaan ki zard si rangat badal bhi sakti hai
bahaar aane ki soorat nikal bhi sakti hai
jala ke sham'a ab uth uth ke dekhna chhodo
vo zimmedaari se az-khud pighal bhi sakti hai
hai shart subh ke raaste se ho ke shaam aaye
to raat us ko sehar mein badal bhi sakti hai
zara sambhal ke jalana aqeedaton ke charaagh
bhadak na jaayen ki masnad ye jal bhi sakti hai
abhi to chaak pe jaari hai raqs mitti ka
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
ye aftaab se kah do ki fasla rakhe
tapish se barf ki deewaar gal bhi sakti hai
tire na aane ki tashreeh kuchh zaroori nahin
ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai
koi zaroori nahin vo hi dil ko shaad kare
aleena aap tabeeyat bahl bhi sakti hai
ख़िज़ाँ की ज़र्द सी रंगत बदल भी सकती है
बहार आने की सूरत निकल भी सकती है
जला के शम्अ अब उठ उठ के देखना छोड़ो
वो ज़िम्मेदारी से अज़-ख़ुद पिघल भी सकती है
है शर्त सुब्ह के रस्ते से हो के शाम आए
तो रात उस को सहर में बदल भी सकती है
ज़रा सँभल के जलाना अक़ीदतों के चराग़
भड़क न जाएँ कि मसनद ये जल भी सकती है
अभी तो चाक पे जारी है रक़्स मिट्टी का
अभी कुम्हार की निय्यत बदल भी सकती है
ये आफ़्ताब से कह दो कि फ़ासला रक्खे
तपिश से बर्फ़ की दीवार गल भी सकती है
तिरे न आने की तशरीह कुछ ज़रूरी नहीं
कि तेरे आते ही दुनिया बदल भी सकती है
कोई ज़रूरी नहीं वो ही दिल को शाद करे
'अलीना' आप तबीअत बहल भी सकती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleena Itrat
our suggestion based on Aleena Itrat
As you were reading Dhoop Shayari Shayari