shaam ke waqt charaagon si jalai hui main | शाम के वक़्त चराग़ों सी जलाई हुई मैं

  - Aleena Itrat

shaam ke waqt charaagon si jalai hui main
ghup andheron ki munderon pe sajaai hui main

dekhne waalon ki nazaron ko lagoo saada varq
teri tahreer mein hoon aise chhupaai hui main

khaak kar ke mujhe sehra mein udaane waale
dekh raksaan hoon sar-e-dasht udaai hui main

kya andheron ki hifazat ke liye rakhi hoon
apni dahleez pe khud aap jalai hui main

log afsaana samajh kar mujhe sunte hi rahe
dar-haqeeqat hoon haqeeqat se banaai hui main

meri aankhon mein samaaya hua koi chehra
aur us chehre ki aankhon mein samaai hui main

kitni hairaan hai duniya ki muqaddar ki nahin
apni tadbeer ke haathon hoon banaai hui main

mere andaaz pe ta-der aleena vo hansa
zikr mein us ke thi yun khud ko bhulaai hui main

शाम के वक़्त चराग़ों सी जलाई हुई मैं
घुप अँधेरों की मुंडेरों पे सजाई हुई मैं

देखने वालों की नज़रों को लगूँ सादा वरक़
तेरी तहरीर में हूँ ऐसे छुपाई हुई मैं

ख़ाक कर के मुझे सहरा में उड़ाने वाले
देख रक़्साँ हूँ सर-ए-दश्त उड़ाई हुई मैं

क्या अँधेरों की हिफ़ाज़त के लिए रक्खी हूँ
अपनी दहलीज़ पे ख़ुद आप जलाई हुई मैं

लोग अफ़्साना समझ कर मुझे सुनते ही रहे
दर-हक़ीक़त हूँ हक़ीक़त से बनाई हुई मैं

मेरी आँखों में समाया हुआ कोई चेहरा
और उस चेहरे की आँखों में समाई हुई मैं

कितनी हैरान है दुनिया कि मुक़द्दर की नहीं
अपनी तदबीर के हाथों हूँ बनाई हुई मैं

मेरे अंदाज़ पे ता-देर 'अलीना' वो हँसा
ज़िक्र में उस के थी यूँ ख़ुद को भुलाई हुई मैं

  - Aleena Itrat

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari