vo hi andaaz-e-dilbari hai abhi | वो ही अंदाज़-ए-दिलबरी है अभी

  - Aleena Itrat

vo hi andaaz-e-dilbari hai abhi
us ki baaton mein dilkashi hai abhi

kashti-e-dil bahak na jaaye kahi
mauj-dar-mauj gum rahi hai abhi

kisi toofaan ka ishaara hai
ye jo saffaaq khaamoshi hai abhi

raakh se ab bhi uth raha hai dhuaan
yaad-e-maazi sulag rahi hai abhi

ishq mein sab to had se paar hue
par hamein ehtiyaat si hai abhi

ahad-o-paimaan karenge furqat se
koi jaldi nahin padi hai abhi

kya mohabbat hi ki alaamat hai
us ki palkon mein jo nami hai abhi

वो ही अंदाज़-ए-दिलबरी है अभी
उस की बातों में दिलकशी है अभी

कश्ती-ए-दिल बहक न जाए कहीं
मौज-दर-मौज गुम रही है अभी

किसी तूफ़ान का इशारा है
ये जो सफ़्फ़ाक ख़ामुशी है अभी

राख से अब भी उठ रहा है धुआँ
याद-ए-माज़ी सुलग रही है अभी

इश्क़ में सब तो हद से पार हुए
पर हमें एहतियात सी है अभी

अहद-ओ-पैमाँ करेंगे फ़ुर्सत से
कोई जल्दी नहीं पड़ी है अभी

क्या मोहब्बत ही की अलामत है
उस की पलकों में जो नमी है अभी

  - Aleena Itrat

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleena Itrat

As you were reading Shayari by Aleena Itrat

Similar Writers

our suggestion based on Aleena Itrat

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari