goonjti waadi mein awaaz abhi baaki hai
taar toote hain to kya saaz abhi baaki hai
phir zameen kheench rahi hai mujhe apni jaanib
main rookoon kaise ki parwaaz abhi baaki hai
maut se pehle meri maut ko likhne waale
mere anjaam ka aaghaaz abhi baaki hai
tu idhar hai ki nahin itna bata de mujh ko
saare parde uthe par raaz abhi baaki hai
waqt ne gard kiya phool se chehron ka jamaal
par ada baaki hai andaaz abhi baaki hai
गूँजती वादी में आवाज़ अभी बाक़ी है
तार टूटे हैं तो क्या साज़ अभी बाक़ी है
फिर ज़मीं खींच रही है मुझे अपनी जानिब
मैं रुकूँ कैसे कि पर्वाज़ अभी बाक़ी है
मौत से पहले मिरी मौत को लिखने वाले
मेरे अंजाम का आग़ाज़ अभी बाक़ी है
तू इधर है कि नहीं इतना बता दे मुझ को
सारे पर्दे उठे पर राज़ अभी बाक़ी है
वक़्त ने गर्द किया फूल से चेहरों का जमाल
पर अदा बाक़ी है अंदाज़ अभी बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleena Itrat
our suggestion based on Aleena Itrat
As you were reading Raaz Shayari Shayari