kahi par zulm ke sholay kahi par khud-parasti hai | कहीं पर ज़ुल्म के शो'ले कहीं पर ख़ुद-परस्ती है

  - Ali Khan Jauhar

kahi par zulm ke sholay kahi par khud-parasti hai
chaman ki aabroo khatre mein hai ye baat sacchi hai

vo gholaa zahar nafrat ka siyaasat ne fazaaon mein
gulon ki aankh se shabnam lahu ban kar tapakti hai

bagaavat par agar ham log utar aaye to kya hoga
abhi to ham ne rassi sabr ki ye thaam rakhi hai

wahan insaaf ki ummeed le kar ja rahe ho tum
jahaan qaanoon ne aankhon se patti baandh rakhi hai

tadpata hoon bichhad kar aap se kuchh is tarah jauhar
bina paani ke jaise ret pe machhli tadapati hai

कहीं पर ज़ुल्म के शो'ले कहीं पर ख़ुद-परस्ती है
चमन की आबरू ख़तरे में है ये बात सच्ची है

वो घोला ज़हर नफ़रत का सियासत ने फ़ज़ाओं में
गुलों की आँख से शबनम लहू बन कर टपकती है

बग़ावत पर अगर हम लोग उतर आए तो क्या होगा
अभी तो हम ने रस्सी सब्र की ये थाम रक्खी है

वहाँ इंसाफ़ की उम्मीद ले कर जा रहे हो तुम
जहाँ क़ानून ने आँखों से पट्टी बाँध रक्खी है

तड़पता हूँ बिछड़ कर आप से कुछ इस तरह 'जौहर'
बिना पानी के जैसे रेत पे मछली तड़पती है

  - Ali Khan Jauhar

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ali Khan Jauhar

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari