uljhe kaanton se ki khele gul-e-tar se pehle | उलझे काँटों से कि खेले गुल-ए-तर से पहले - Ali Sardar Jafri

uljhe kaanton se ki khele gul-e-tar se pehle
fikr ye hai ki saba aaye kidhar se pehle

jaam-o-paimaana-o-saaqi ka gumaan tha lekin
deeda-e-tar hi tha yaa deeda-e-tar se pehle

abr-e-naisaan ki na barkat hai na faizaan-e-bahaar
qatre gum ho gaye taameer-e-guhar se pehle

jam gaya dil mein lahu sookh gaye aankhon mein ashk
tham gaya dard-e-jigar rang-e-sehar se pehle

qafile aaye to the naaron ke parcham le kar
sar-nigoon ho gai har aah asar se pehle

khoon-e-sar bah gaya maut aa gai deewaanon ko
baarish-e-sang se toofan-e-sharar se pehle

surkhi-e-khoon-e-tamanna ki mahak aati hai
dil koi toota hai shaayad gul-e-tar se pehle

maqtal-e-shauq ke aadaab niraale hain bahut
dil bhi qaateel ko diya karte hain sar se pehle

उलझे काँटों से कि खेले गुल-ए-तर से पहले
फ़िक्र ये है कि सबा आए किधर से पहले

जाम-ओ-पैमाना-ओ-साक़ी का गुमाँ था लेकिन
दीदा-ए-तर ही था याँ दीदा-ए-तर से पहले

अब्र-ए-नैसाँ की न बरकत है न फ़ैज़ान-ए-बहार
क़तरे गुम हो गए तामीर-ए-गुहर से पहले

जम गया दिल में लहू सूख गए आँखों में अश्क
थम गया दर्द-ए-जिगर रंग-ए-सहर से पहले

क़ाफ़िले आए तो थे नारों के परचम ले कर
सर-निगूँ हो गई हर आह असर से पहले

ख़ून-ए-सर बह गया मौत आ गई दीवानों को
बारिश-ए-संग से तूफ़ान-ए-शरर से पहले

सुर्ख़ी-ए-ख़ून-ए-तमन्ना की महक आती है
दिल कोई टूटा है शायद गुल-ए-तर से पहले

मक़तल-ए-शौक़ के आदाब निराले हैं बहुत
दिल भी क़ातिल को दिया करते हैं सर से पहले

- Ali Sardar Jafri
0 Likes

Death Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Death Shayari Shayari