main jab vujood ke hairat-kade se mil raha tha | मैं जब वजूद के हैरत-कदे से मिल रहा था

  - Ali Zaryoun

main jab vujood ke hairat-kade se mil raha tha
mujhe laga main kisi mo'jize se mil raha tha

main jaagta tha ki jab log so chuke the tamaam
charaagh mujh se mere tajarbe se mil raha tha

havas se hota hua aa gaya main ishq ki samt
ye silsila bhi usi raaste se mil raha tha

khuda se pehli mulaqaat ho rahi thi meri
main apne aap ko jab saamne se mil raha tha

ajeeb lay thi jo taaseer de rahi thi mujhe
ajeeb lams tha har zaaviye se mil raha tha

main us ke seena-e-shaffaaf ki hari lau se
dahak raha tha so poore maze se mil raha tha

savaab-o-taa'at-o-taqwa fazilat-o-alqaab
pade hue the kahi main nashe se mil raha tha

tire jamaal ka bujhna to laazmi tha ki tu
baghair ishq kiye aaine se mil raha tha

zameen bhi mere aaghosh-e-surkh mein thi ali
falak bhi mujh se hare zaa'iqe se mil raha tha

मैं जब वजूद के हैरत-कदे से मिल रहा था
मुझे लगा मैं किसी मो'जिज़े से मिल रहा था

मैं जागता था कि जब लोग सो चुके थे तमाम
चराग़ मुझ से मिरे तजरबे से मिल रहा था

हवस से होता हुआ आ गया मैं इश्क़ की सम्त
ये सिलसिला भी उसी रास्ते से मिल रहा था

ख़ुदा से पहली मुलाक़ात हो रही थी मिरी
मैं अपने आप को जब सामने से मिल रहा था

अजीब लय थी जो तासीर दे रही थी मुझे
अजीब लम्स था हर ज़ाविए से मिल रहा था

मैं उस के सीना-ए-शफ़्फ़ाफ़ की हरी लौ से
दहक रहा था सो पूरे मज़े से मिल रहा था

सवाब-ओ-ताअ'त-ओ-तक़्वा फ़ज़ीलत-ओ-अलक़ाब
पड़े हुए थे कहीं मैं नशे से मिल रहा था

तिरे जमाल का बुझना तो लाज़मी था कि तू
बग़ैर इश्क़ किए आइने से मिल रहा था

ज़मीन भी मिरे आग़ोश-ए-सुर्ख़ में थी 'अली'
फ़लक भी मुझ से हरे ज़ाइक़े से मिल रहा था

  - Ali Zaryoun

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Zaryoun

As you were reading Shayari by Ali Zaryoun

Similar Writers

our suggestion based on Ali Zaryoun

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari