chishti ne jis zameen mein paigham-e-haq sunaaya | चिश्ती ने जिस ज़मीं में पैग़ाम-ए-हक़ सुनाया

  - Allama Iqbal

chishti ne jis zameen mein paigham-e-haq sunaaya
naanak ne jis chaman mein wahdat ka geet gaaya
tataariyon ne jis ko apna watan banaya
jis ne hijaaziyo se dast-e-arab chhudaaya
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
yunaaniyo ko jis ne hairaan kar diya tha
saare jahaan ko jis ne ilm o hunar diya tha
mitti ko jis ki haq ne zar ka asar diya tha
turko ka jis ne daaman heero se bhar diya tha
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
toote the jo sitaare faras ke aasmaan se
phir taab de ke jis ne chamkaaye kahkashaan se
wahdat ki lay sooni thi duniya ne jis makaan se
meer-e-arab ko aayi thandi hawa jahaan se
mera watan wahi hai mera watan wahi hai
bande kaleem jis ke parbat jahaan ke seena
nooh-e-nabi ka aa kar thehra jahaan safeena
rif'at hai jis zameen ki baam-e-falak ka zeena
jannat ki zindagi hai jis ki fazaa mein jeena
mera watan wahi hai mera watan wahi hai

चिश्ती ने जिस ज़मीं में पैग़ाम-ए-हक़ सुनाया
नानक ने जिस चमन में वहदत का गीत गाया
तातारियों ने जिस को अपना वतन बनाया
जिस ने हिजाज़ियों से दश्त-ए-अरब छुड़ाया
मेरा वतन वही है मेरा वतन वही है
यूनानियों को जिस ने हैरान कर दिया था
सारे जहाँ को जिस ने इल्म ओ हुनर दिया था
मिट्टी को जिस की हक़ ने ज़र का असर दिया था
तुर्कों का जिस ने दामन हीरों से भर दिया था
मेरा वतन वही है मेरा वतन वही है
टूटे थे जो सितारे फ़ारस के आसमाँ से
फिर ताब दे के जिस ने चमकाए कहकशाँ से
वहदत की लय सुनी थी दुनिया ने जिस मकाँ से
मीर-ए-अरब को आई ठंडी हवा जहाँ से
मेरा वतन वही है मेरा वतन वही है
बंदे कलीम जिस के पर्बत जहाँ के सीना
नूह-ए-नबी का आ कर ठहरा जहाँ सफ़ीना
रिफ़अत है जिस ज़मीं की बाम-ए-फ़लक का ज़ीना
जन्नत की ज़िंदगी है जिस की फ़ज़ा में जीना
मेरा वतन वही है मेरा वतन वही है

  - Allama Iqbal

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari