vasl ka us ke dil-e-zaar tamannaai hai | वस्ल का उस के दिल-ए-ज़ार तमन्नाई है

  - Altaf Hussain Hali

vasl ka us ke dil-e-zaar tamannaai hai
na mulaqaat hai jis se na shanaasaai hai

qat'a ummeed ne dil kar diye yaksu sad shukr
shakl muddat mein ye allah ne dikhlai hai

quwwat-e-dast-e-khudaai hai shakebaai mein
waqt jab aa ke pada hai yahi kaam aayi hai

dar nahin gair ka jo kuchh hai so apna dar hai
ham ne jab khaai hai apne hi se zak khaai hai

nashe mein choor na hon jhanjh mein makhmoor na hon
pand ye peer-e-kharaabaat ne farmaai hai

nazar aati nahin ab dil mein tamannaa koi
baad muddat ke tamannaa meri bar aayi hai

baat sacchi kahi aur ungaliyaan uthhiin sab ki
sach mein haali koi ruswaai si ruswaai hai

वस्ल का उस के दिल-ए-ज़ार तमन्नाई है
न मुलाक़ात है जिस से न शनासाई है

क़त्अ उम्मीद ने दिल कर दिए यकसू सद शुक्र
शक्ल मुद्दत में ये अल्लाह ने दिखलाई है

क़ूव्वत-ए-दस्त-ए-ख़ुदाई है शकेबाई में
वक़्त जब आ के पड़ा है यही काम आई है

डर नहीं ग़ैर का जो कुछ है सो अपना डर है
हम ने जब खाई है अपने ही से ज़क खाई है

नशे में चूर न हों झाँझ में मख़्मूर न हों
पंद ये पीर-ए-ख़राबात ने फ़रमाई है

नज़र आती नहीं अब दिल में तमन्ना कोई
बाद मुद्दत के तमन्ना मिरी बर आई है

बात सच्ची कही और उँगलियाँ उट्ठीं सब की
सच में 'हाली' कोई रुस्वाई सी रुस्वाई है

  - Altaf Hussain Hali

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari