jo kai arse se chhupaai hai
aaj peeda wahi sunaai hai
aur har baar ki tarah raatein
yaad le apne saath aayi hai
maanne hi nahin ye waala main
duniya aisi khuda banaai hai
mera dukh dost tha bahut ziyaada
aapne taali kam bajai hai
pyaar to aur hi kisi se tha
aur kis se hui sagaai hai
ek din be-hijaab aayi thi
yun laga be-libaas aayi hai
aa gaya imtihaan dene main
aur kuchh ki nahin padhaai hai
raakh ki zindagi meri maine
uski tasveer nai jalai hai
जो कई अरसे से छुपाई है
आज पीड़ा वही सुनाई है
और हर बार की तरह रातें
याद ले अपने साथ आई है
मानने ही नहीं ये वाला मैं
दुनिया ऐसी ख़ुदा बनाई है
मेरा दुख दोस्त था बहुत ज़्यादा
आपने ताली कम बजाई है
प्यार तो और ही किसी से था
और किस से हुई सगाई है
एक दिन बे-हिजाब आई थी
यूँ लगा बे-लिबास आई है
आ गया इम्तिहान देने मैं
और कुछ की नहीं पढ़ाई है
राख की ज़िंदगी मेरी मैंने
उसकी तस्वीर नइ जलाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Mishra 'Anant'
our suggestion based on Aman Mishra 'Anant'
As you were reading Life Shayari Shayari