darwaaza vaa kar ke roz nikalta tha
sirf wahi apne ghar ka sarmaaya tha
khade hue the ped jadon se kat kar bhi
tez hawa ka jhonka aane waala tha
usi nadi mein us ke bacche doob gaye
usi nadi ka paani us ka peena tha
sabz qabaayein roz lutaata tha lekin
khud us ke tan par bosida kapda tha
baahar saare maidaan jeet chuka tha vo
ghar lautaa to pal bhar mein hi toota tha
but ki qeemat aank raha tha vaise vo
mandir mein to pooja karne aaya tha
cheekh padeen saari deewarein ambar'-ji
main sab se chhup kar kamre mein baitha tha
दरवाज़ा वा कर के रोज़ निकलता था
सिर्फ़ वही अपने घर का सरमाया था
खड़े हुए थे पेड़ जड़ों से कट कर भी
तेज़ हवा का झोंका आने वाला था
उसी नदी में उस के बच्चे डूब गए
उसी नदी का पानी उस का पीना था
सब्ज़ क़बाएँ रोज़ लुटाता था लेकिन
ख़ुद उस के तन पर बोसीदा कपड़ा था
बाहर सारे मैदाँ जीत चुका था वो
घर लौटा तो पल भर में ही टूटा था
बुत की क़ीमत आँक रहा था वैसे वो
मंदिर में तो पूजा करने आया था
चीख़ पड़ीं सारी दीवारें 'अम्बर'-जी
मैं सब से छुप कर कमरे में बैठा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi
our suggestion based on Ambar Bahraichi
As you were reading Pollution Shayari Shayari