kyun na hon shaad ki ham raahguzar mein hain abhi | क्यूँ न हों शाद कि हम राहगुज़र में हैं अभी

  - Ambar Bahraichi

kyun na hon shaad ki ham raahguzar mein hain abhi
dasht-e-be-sabz mein aur dhoop nagar mein hain abhi

surkh aazar hi mere zakhamon pe na ho yun masroor
kai shahpar mere toote hue par mein hain abhi

in dhundlakon ki har ik chaal to shaatir hai magar
nuqraai naqsh mere dast-e-hunar mein hain abhi

umr bhar main to raha khaana-badoshi mein idhar
kuchh kabootar mere aslaaf ke ghar mein hain abhi

ek muddat se koi sabz na ubhara is mein
ghonsle cheel ke be-barg shajar mein hain abhi

shehar ki dhool fazaayein hi muqaddar mein raheen
aam ke bor magar meri nazar mein hain abhi

raakh ke dher pe maatam na karo dekho bhi
kai shole kisi be-jaan sharar mein hain abhi

ek saahir kabhi guzra tha idhar se ambar
jaa-e-hairat ki sabhi us ke asar mein hain abhi

क्यूँ न हों शाद कि हम राहगुज़र में हैं अभी
दश्त-ए-बे-सब्ज़ में और धूप नगर में हैं अभी

सुर्ख़ आज़र ही मिरे ज़ख़्मों पे न हो यूँ मसरूर
कई शहपर मिरे टूटे हुए पर में हैं अभी

इन धुँदलकों की हर इक चाल तो शातिर है मगर
नुक़रई नक़्श मिरे दस्त-ए-हुनर में हैं अभी

उम्र भर मैं तो रहा ख़ाना-बदोशी में इधर
कुछ कबूतर मिरे अस्लाफ़ के घर में हैं अभी

एक मुद्दत से कोई सब्ज़ न उभरा इस में
घोंसले चील के बे-बर्ग शजर में हैं अभी

शहर की धूल फ़ज़ाएँ ही मुक़द्दर में रहीं
आम के बोर मगर मेरी नज़र में हैं अभी

राख के ढेर पे मातम न करो देखो भी
कई शोले किसी बे-जान शरर में हैं अभी

एक साहिर कभी गुज़रा था इधर से 'अम्बर'
जा-ए-हैरत कि सभी उस के असर में हैं अभी

  - Ambar Bahraichi

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar Bahraichi

As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi

Similar Writers

our suggestion based on Ambar Bahraichi

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari