aaj phir dhoop ki shiddat ne bada kaam kiya | आज फिर धूप की शिद्दत ने बड़ा काम किया

  - Ambar Bahraichi

aaj phir dhoop ki shiddat ne bada kaam kiya
ham ne is dasht ko lamhon mein kanwal-faam kiya

mere hujre ko bhi tashheer mili us ke sabab
aur aandhi ne bhi is baar bahut naam kiya

roz ham jaltee hui ret pe chalte hi na the
ham ne saaye mein khajooron ke bhi aaraam kiya

dil ki baanhon mein sajaate rahe aahon ki dhanak
zehan ko ham ne rah-e-ishq mein gum-naam kiya

shehar mein rah ke ye jungle ki ada bhool gaye
ham ne in shokh ghazaalon ko abas raam kiya

apne pairo'n mein bhi bijli ki adaayein theen magar
dekh kar toor-e-jahaan khud ko subuk-gaam kiya

shaah-raahon pe humeen to nahin masloob hue
qatl-e-mahtaab ne khud ko bhi lab-e-baam kiya

jaane kya soch ke phir in ko rihaai de di
ham ne ab ke bhi parindon ko tah-e-daam kiya

khatm ho gee ye kaddi dhoop bhi ambar dekho
ek kohsaar ko mausam ne gul-andaam kiya

आज फिर धूप की शिद्दत ने बड़ा काम किया
हम ने इस दश्त को लम्हों में कँवल-फ़ाम किया

मेरे हुजरे को भी तशहीर मिली उस के सबब
और आँधी ने भी इस बार बहुत नाम किया

रोज़ हम जलती हुई रेत पे चलते ही न थे
हम ने साए में खजूरों के भी आराम किया

दिल की बाँहों में सजाते रहे आहों की धनक
ज़ेहन को हम ने रह-ए-इश्क़ में गुम-नाम किया

शहर में रह के ये जंगल की अदा भूल गए
हम ने इन शोख़ ग़ज़ालों को अबस राम किया

अपने पैरों में भी बिजली की अदाएँ थीं मगर
देख कर तूर-ए-जहाँ ख़ुद को सुबुक-गाम किया

शाह-राहों पे हमीं तो नहीं मस्लूब हुए
क़त्ल-ए-महताब ने ख़ुद को भी लब-ए-बाम किया

जाने क्या सोच के फिर इन को रिहाई दे दी
हम ने अब के भी परिंदों को तह-ए-दाम किया

ख़त्म हो गी ये कड़ी धूप भी 'अम्बर' देखो
एक कोहसार को मौसम ने गुल-अंदाम किया

  - Ambar Bahraichi

Aazaadi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar Bahraichi

As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi

Similar Writers

our suggestion based on Ambar Bahraichi

Similar Moods

As you were reading Aazaadi Shayari Shayari