geeli mitti haath mein le kar baitha hoon
zehan mein ik dhundle paikar se uljha hoon
pees raha hai dil ko ik wazni patthar
doob ko baanhon mein bhar kar main hansta hoon
tere haathon ne mujh mein sab rang bhare
lekin har pal ye ehsaas adhoora hoon
dhoop kabhi chamakegi is ummeed pe main
barf ke dariya mein sadiyon se leta hoon
is jaanib kab ude baadal ne dekha
phir bhi main tanhaa sarsabz jazeera hoon
mera karb meri tanhaai ki zeenat
main chehron ke jungle ka sannaata hoon
ik dhundli tasveer abhi aankhon mein hai
is waadi se door bhala kab rehta hoon
raat ufuq par kuchh saaye lehraaye the
ambar ab tak aas lagaaye baitha hoon
गीली मिट्टी हाथ में ले कर बैठा हूँ
ज़ेहन में इक धुँदले पैकर से उलझा हूँ
पीस रहा है दिल को इक वज़नी पत्थर
दूब को बाँहों में भर कर मैं हँसता हूँ
तेरे हाथों ने मुझ में सब रंग भरे
लेकिन हर पल ये एहसास अधूरा हूँ
धूप कभी चमकेगी इस उम्मीद पे मैं
बर्फ़ के दरिया में सदियों से लेटा हूँ
इस जानिब कब ऊदे बादल ने देखा
फिर भी मैं तन्हा सरसब्ज़ जज़ीरा हूँ
मेरा कर्ब मिरी तन्हाई की ज़ीनत
मैं चेहरों के जंगल का सन्नाटा हूँ
इक धुँदली तस्वीर अभी आँखों में है
इस वादी से दूर भला कब रहता हूँ
रात उफ़ुक़ पर कुछ साए लहराए थे
'अम्बर' अब तक आस लगाए बैठा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi
our suggestion based on Ambar Bahraichi
As you were reading Nature Shayari Shayari