neend ke bojh se palkon ko jhapakti hui aayi | नींद के बोझ से पलकों को झपकती हुई आई

  - Ameer Imam

neend ke bojh se palkon ko jhapakti hui aayi
subh jab raat ki galiyon mein bhatkati hui aayi

deeda-e-khushk mein ik maahi-e-be-aab thi neend
chashma-e-khwaab talak aayi fadakti hui aayi

aur phir kya hua kuchh yaad nahin hai mujh ko
ek bijli thi ki seene mein lapakti hui aayi

aaj kya phir kisi awaaz ne bai't maangi
ye meri khaamoshi jo paanv patakti hui aayi

raat ghabra gai suraj se kaha al-madde
vo b-sad-naaz jo zulfon ko jhatkati hui aayi

ho gai khair tira naam na aaya lab par
ek aahat tiri khushboo mein mehkati hui aayi

waqt-e-rukhsat meri aankhon ki tarah chup thi jo yaad
ai mere dil tiri maanind dhadkati hui aayi

नींद के बोझ से पलकों को झपकती हुई आई
सुब्ह जब रात की गलियों में भटकती हुई आई

दीदा-ए-ख़ुश्क में इक माही-ए-बे-आब थी नींद
चश्मा-ए-ख़्वाब तलक आई फड़कती हुई आई

और फिर क्या हुआ कुछ याद नहीं है मुझ को
एक बिजली थी कि सीने में लपकती हुई आई

आज क्या फिर किसी आवाज़ ने बैअ'त माँगी
ये मिरी ख़ामुशी जो पाँव पटकती हुई आई

रात घबरा गई सूरज से कहा अल-मददे
वो ब-सद-नाज़ जो ज़ुल्फ़ों को झटकती हुई आई

हो गई ख़ैर तिरा नाम न आया लब पर
एक आहट तिरी ख़ुश्बू में महकती हुई आई

वक़्त-ए-रुख़्सत मिरी आँखों की तरह चुप थी जो याद
ऐ मिरे दिल तिरी मानिंद धड़कती हुई आई

  - Ameer Imam

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari