ai zabt dekh ishq ki un ko khabar na ho | ऐ ज़ब्त देख इश्क़ की उन को ख़बर न हो

  - Ameer Minai

ai zabt dekh ishq ki un ko khabar na ho
dil mein hazaar dard uthe aankh tar na ho

muddat mein shaam-e-wasl hui hai mujhe naseeb
do-chaar saal tak to ilaahi sehar na ho

ik phool hai gulaab ka aaj un ke haath mein
dhadka mujhe ye hai ki kisi ka jigar na ho

dhunde se bhi na ma'ni-e-baareek jab mila
dhoka hua ye mujh ko ki us ki kamar na ho

ulfat ki kya ummeed vo aisa hai bewafa
sohbat hazaar saal rahe kuchh asar na ho

tool-e-shab-e-visaal ho misl-e-shab-e-firaq
nikle na aftaab ilaahi sehar na ho

ऐ ज़ब्त देख इश्क़ की उन को ख़बर न हो
दिल में हज़ार दर्द उठे आँख तर न हो

मुद्दत में शाम-ए-वस्ल हुई है मुझे नसीब
दो-चार साल तक तो इलाही सहर न हो

इक फूल है गुलाब का आज उन के हाथ में
धड़का मुझे ये है कि किसी का जिगर न हो

ढूँडे से भी न मअ'नी-ए-बारीक जब मिला
धोका हुआ ये मुझ को कि उस की कमर न हो

उल्फ़त की क्या उम्मीद वो ऐसा है बेवफ़ा
सोहबत हज़ार साल रहे कुछ असर न हो

तूल-ए-शब-ए-विसाल हो मिस्ल-ए-शब-ए-फ़िराक़
निकले न आफ़्ताब इलाही सहर न हो

  - Ameer Minai

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari