chup bhi ho bak raha hai kya waiz | चुप भी हो बक रहा है क्या वाइज़

  - Ameer Minai

chup bhi ho bak raha hai kya waiz
maghz rindon ka kha gaya waiz

tere kehne se rind jaayenge
ye to hai khaana-e-khuda waiz

allah allah ye kibr aur ye ghuroor
kya khuda ka hai doosra waiz

be-khata may-kashon pe chashm-e-ghazab
hashr hone de dekhna waiz

ham hain qaht-e-sharaab se beemaar
kis marz ki hai tu dava waiz

rah chuka may-kade mein saari umr
kabhi may-khaane mein bhi aa waiz

hajw-e-may kar raha tha mimbar par
ham jo pahunchen to pee gaya waiz

dukht-e-raz ko bura mere aage
phir na kehna kabhi suna waiz

aaj karta hoon wasf-e-may main ameer
dekhoon kehta hai is mein kya waiz

चुप भी हो बक रहा है क्या वाइज़
मग़्ज़ रिंदों का खा गया वाइज़

तेरे कहने से रिंद जाएँगे
ये तो है ख़ाना-ए-ख़ुदा वाइज़

अल्लाह अल्लाह ये किब्र और ये ग़ुरूर
क्या ख़ुदा का है दूसरा वाइज़

बे-ख़ता मय-कशों पे चश्म-ए-ग़ज़ब
हश्र होने दे देखना वाइज़

हम हैं क़हत-ए-शराब से बीमार
किस मरज़ की है तू दवा वाइज़

रह चुका मय-कदे में सारी उम्र
कभी मय-ख़ाने में भी आ वाइज़

हज्व-ए-मय कर रहा था मिम्बर पर
हम जो पहुँचे तो पी गया वाइज़

दुख़्त-ए-रज़ को बुरा मिरे आगे
फिर न कहना कभी सुना वाइज़

आज करता हूँ वस्फ़-ए-मय मैं 'अमीर'
देखूँ कहता है इस में क्या वाइज़

  - Ameer Minai

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari