haan ye taufeeq kabhi mujh ko khuda deta tha | हाँ ये तौफ़ीक़ कभी मुझ को ख़ुदा देता था - Ameer Qazalbash

haan ye taufeeq kabhi mujh ko khuda deta tha
nekiyaan kar ke main dariya mein baha deta tha

tha usi bheed mein vo mera shanaasa tha bahut
jo mujhe mujh se bichhadne ki dua deta tha

us ki nazaron mein tha jalta hua manzar kaisa
khud jalai hui shamon ko bujha deta tha

aag mein lipta hua hadd-e-nazar tak saahil
hausla doobne waalon ka badha deta tha

yaad rehta tha nigaahon ko har ik khwaab magar
zehan har khwaab ki taabeer bhula deta tha

kyun parindon ne darakhton pe basera na kiya
kaun guzre hue mausam ka pata deta tha

हाँ ये तौफ़ीक़ कभी मुझ को ख़ुदा देता था
नेकियाँ कर के मैं दरिया में बहा देता था

था उसी भीड़ में वो मेरा शनासा था बहुत
जो मुझे मुझ से बिछड़ने की दुआ देता था

उस की नज़रों में था जलता हुआ मंज़र कैसा
ख़ुद जलाई हुई शम्ओं को बुझा देता था

आग में लिपटा हुआ हद्द-ए-नज़र तक साहिल
हौसला डूबने वालों का बढ़ा देता था

याद रहता था निगाहों को हर इक ख़्वाब मगर
ज़ेहन हर ख़्वाब की ताबीर भुला देता था

क्यूँ परिंदों ने दरख़्तों पे बसेरा न किया
कौन गुज़रे हुए मौसम का पता देता था

- Ameer Qazalbash
0 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari