bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta | बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता

  - Amir Ameer

bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta
mohabbat ka tamaashaai mujhe achha nahin lagta

vo jab bichhde the ham to yaad hai garmi ki chhuttiyaan theen
tabhi se maah julaai mujhe achha nahin lagta

vo sharmaati hai itna ki hamesha us ki baaton ka
qareeban ek chauthaai mujhe achha nahin lagta

na-jaane itni kadvaahat kahaan se aa gai mujh mein
kare jo meri achchaai mujhe achha nahin lagta

mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahr-soorat
ki tu hai us ki hum-saai mujhe achha nahin lagta

na itni daad do jis mein meri awaaz dab jaaye
kare jo yun paziraai mujhe achha nahin lagta

tiri khaatir nazar-andaaz karta hoon use warna
vo jo hai na tira bhaai mujhe achha nahin lagta

बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता
मोहब्बत का तमाशाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो जब बिछड़े थे हम तो याद है गर्मी की छुट्टीयाँ थीं
तभी से माह जुलाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो शरमाती है इतना कि हमेशा उस की बातों का
क़रीबन एक चौथाई मुझे अच्छा नहीं लगता

न-जाने इतनी कड़वाहट कहाँ से आ गई मुझ में
करे जो मेरी अच्छाई मुझे अच्छा नहीं लगता

मिरे दुश्मन को इतनी फ़ौक़ियत तो है बहर-सूरत
कि तू है उस की हम-साई मुझे अच्छा नहीं लगता

न इतनी दाद दो जिस में मिरी आवाज़ दब जाए
करे जो यूँ पज़ीराई मुझे अच्छा नहीं लगता

तिरी ख़ातिर नज़र-अंदाज़ करता हूँ उसे वर्ना
वो जो है ना तिरा भाई मुझे अच्छा नहीं लगता

  - Amir Ameer

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Ameer

As you were reading Shayari by Amir Ameer

Similar Writers

our suggestion based on Amir Ameer

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari