zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai | ज़रूर उस की नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है

  - Amir Ameer

zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai
main jim se aa raha hoon aasteen chadhi hui hai

mujhe zara sa bura kah diya to is se kya
vo itni baat pe maa baap se ladi hui hai

use zaroorat-e-parda zara ziyaada hai
ye vo bhi jaanti hai jab se vo badi hui hai

vo meri di hui nathuni pahan ke ghoomti hai
tabhi vo in dinon kuchh aur nak-chadhi hui hai

muaahidon mein lachak bhi zaroori hoti hai
par is ki sooi wahin ki wahin adi hui hai

vo taai baandhti hai aur kheench leti hai
ye kaise waqt use pyaar ki padi hui hai

khuda ke vaaste likhte raho ki us ne ameer
har ik ghazal tiri sau sau dafa padhi hui hai

ज़रूर उस की नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है
मैं जिम से आ रहा हूँ आस्तीं चढ़ी हुई है

मुझे ज़रा सा बुरा कह दिया तो इस से क्या
वो इतनी बात पे माँ बाप से लड़ी हुई है

उसे ज़रूरत-ए-पर्दा ज़रा ज़ियादा है
ये वो भी जानती है जब से वो बड़ी हुई है

वो मेरी दी हुई नथुनी पहन के घूमती है
तभी वो इन दिनों कुछ और नक-चढ़ी हुई है

मुआहिदों में लचक भी ज़रूरी होती है
पर इस की सूई वहीं की वहीं अड़ी हुई है

वो टाई बाँधती है और खींच लेती है
ये कैसे वक़्त उसे प्यार की पड़ी हुई है

ख़ुदा के वास्ते लिखते रहो कि उस ने 'अमीर'
हर इक ग़ज़ल तिरी सौ सौ दफ़ा पढ़ी हुई है

  - Amir Ameer

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Ameer

As you were reading Shayari by Amir Ameer

Similar Writers

our suggestion based on Amir Ameer

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari