bas ik sawaal pe jeena muhaal hai mera
sawaal kyun na karoon ye sawaal hai mera
kuchh is liye bhi har ik se meri nahin banti
zameer zinda hai aur khoon laal hai mera
main tujh ko choo ke bahut door ho gaya tujh se
ki ye urooj se kaisa zawaal hai mera
malaal ye nahin mujh ko tu meri ho na saki
main tera ho na saka ye malaal hai mera
ye rang roop ye youvan tumhaare hain lekin
ye shokhiyaan ye adaayein kamaal hai mera
बस इक सवाल पे जीना मुहाल है मेरा
सवाल क्यों न करूँ ये सवाल है मेरा
कुछ इस लिए भी हर इक से मेरी नहीं बनती
ज़मीर ज़िंदा है और ख़ून लाल है मेरा
मैं तुझ को छू के बहुत दूर हो गया तुझ से
कि ये उरूज से कैसा ज़वाल है मेरा
मलाल ये नहीं मुझ को तू मेरी हो न सकी
मैं तेरा हो न सका ये मलाल है मेरा
ये रंग रूप ये यौवन तुम्हारे हैं लेकिन
ये शोख़ियाँ ये अदाएँ कमाल है मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Jha Rahi
our suggestion based on Amit Jha Rahi
As you were reading Gham Shayari Shayari