iqaar bhi kiya nahin inkaar bhi nahin | इक़रार भी किया नहीं इनकार भी नहीं - Amit Gautam

iqaar bhi kiya nahin inkaar bhi nahin
zalim se aankhen hoti hain do chaar bhi nahin

samjhe na kyun tu nain kii batiyaan bhi meri jaan
ladki tu haaye itni samajhdaar bhi nahin

kyun jhooth ko na jhooth na sach ko hi sach kahein
lagte hain aap itne to laachaar bhi nahin

vo gaav chhod shehar mein vyaapaar ko gaye
kheti bachi nahin hua vyaapaar bhi nahin

haqdaar soye taan ke chadar tamaam umr
loote wahi jo asl mein haqdaar bhi nahin

manzil kii chaah ko liye rishte lagaaun daanv
manzil ke aise ham hain talabgaar bhi nahin

इक़रार भी किया नहीं इनकार भी नहीं
ज़ालिम से आँखें होती हैं दो चार भी नहीं

समझे न क्यूँ तू नैन की बतियाँ भी मेरी जाँ
लड़की तू हाए इतनी समझदार भी नहीं

क्यूँ झूट को न झूट न सच को ही सच कहें
लगते हैं आप इतने तो लाचार भी नहीं

वो गाँव छोड़ शहर में व्यापार को गए
खेती बची नहीं हुआ व्यापार भी नहीं

हक़दार सोए तान के चादर तमाम उम्र
लूटे वही जो अस्ल में हक़दार भी नहीं

मंज़िल की चाह को लिए रिश्ते लगाऊँ दाँव
मंज़िल के ऐसे हम हैं तलबगार भी नहीं

- Amit Gautam
2 Likes

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari