samandar ret jungle sab wahan hai
tiri zulfon ke saaye mein jahaan hai
jo tere husn ka hai ye ujaala
charaagon mein sitaaron mein kahaan hai
tu aaye mehfilon mein noor aaye
koii bhi to nahin tujhsa yahan hai
main usko laakh dushman yaar kah doon
magar vo hi mera ab ham rahaa hai
teri aankhon se gahra kuchh nahin hai
ki ham to dekh aaye do jahaan hai
समंदर रेत जंगल सब वहाँ है
तिरी ज़ुल्फ़ों के साए में जहाँ है
जो तेरे हुस्न का है ये उजाला
चराग़ों में सितारों में कहाँ है
तू आए महफ़िलों में नूर आए
कोई भी तो नहीं तुझसा यहाँ है
मैं उसको लाख दुश्मन यार कह दूँ
मगर वो ही मेरा अब हम रहाँ है
तेरी ऑंखों से गहरा कुछ नहीं है
कि हम तो देख आए दो जहाँ है
As you were reading Shayari by Amit Gautam
our suggestion based on Amit Gautam
As you were reading undefined Shayari