ik mukhote ke saaye rahte hain | इक मुखौटे के साए रहते हैं - Amit Gautam

ik mukhote ke saaye rahte hain
dard kuchh yun chhupaaye rahte hain

jo tavajjoh na de zara sii bhi
dil unhin pe lutaaye rahte hain

subah ka bhoola laut aaye shaam
dar pe nazarein tikaaye rahte hain

ab koii jashn ham manaate nahin
ghar ko lekin sajaaye rahte hain

jinko nemat mili hai likhne kii
mehfilon mein vo chhaaye rahte hain

ek had tak hi aage badhte hain
jo bhi dooje ke saaye rahte hain

इक मुखौटे के साए रहते हैं
दर्द कुछ यूँ छुपाए रहते हैं

जो तवज्जोह न दे ज़रा सी भी
दिल उन्हीं पे लुटाए रहते हैं

सुब्ह का भूला लौट आए शाम
दर पे नज़रें टिकाए रहते हैं

अब कोई जश्न हम मनाते नहीं
घर को लेकिन सजाए रहते हैं

जिनको नेमत मिली है लिखने की
महफ़िलों में वो छाए रहते हैं

एक हद तक ही आगे बढ़ते हैं
जो भी दूजे के साए रहते हैं

- Amit Gautam
1 Like

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari