udo magar ye hamesha hi tumko dhyaan rahe
rahein zameen pe qadam aur bana ye maan rahe
main apne aap ko dushman se kya bachaata bhala
ki ab to yaar bhi ham par hai teer taan rahe
shikast kya mili yaaron zara sii jeevan mein
ye kal ke bacche bhi hamko hain baant gyaan rahe
koii sada ke liye takht par nahin rehta
to us pe baithe hue ko ye kyun gumaan rahe
ameer ke sabhi karze muaaf hote hain
gareeb par hi chadhate magar lagaan rahe
उड़ो मगर ये हमेशा ही तुमको ध्यान रहे
रहें ज़मीं पे क़दम और बना ये मान रहे
मैं अपने आप को दुश्मन से क्या बचाता भला
कि अब तो यार भी हम पर है तीर तान रहे
शिकस्त क्या मिली यारों ज़रा सी जीवन में
ये कल के बच्चे भी हमको हैं बाँट ज्ञान रहे
कोई सदा के लिए तख़्त पर नहीं रहता
तो उस पे बैठे हुए को ये क्यूँ गुमान रहे
अमीर के सभी कर्ज़े मुआफ़ होते हैं
ग़रीब पर ही चढ़ाते मगर लगान रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Gautam
our suggestion based on Amit Gautam
As you were reading Dushmani Shayari Shayari