aashnaai kabhi apni bhi thi do chaar ke saath | आश्नाई कभी अपनी भी थी दो चार के साथ - Amit Gautam

aashnaai kabhi apni bhi thi do chaar ke saath
mehfilon mein jo bulaate bade israar ke saath

hamne unko hai rakha dil mein sajaakar aise
jaise tasveer laga de koii deewaar ke saath

shehar ka ek hi akhbaar jo sach bolta tha
haath usne bhi milaaya hua sarkaar ke saath

aur deta hai to de dard-e-mohabbat zalim
lutf aata hai mujhe jeene mein aazaar ke saath

kal talak jisko sikhaaya tha pakadna choori
mujhko hi kaat raha hai vo bade pyaar ke saath

baap kii pagdi kii bhi shaan tujhe hai rakhni
izzat-e-nafs juda hai miyaan dastaar ke saath

pichhli sardi mein thi shaadi meri mahbooba kii
phool bhi le gaya tha main wahan uphaar ke saath

mujhko ye ilm hai vo ab bhi hai dushman mera
phool kyun laaya hai phir yaar vo talwaar ke saath

aapki bazm mein aana tha to yaaro hamne
ye ghazal pesh kii hai taaze se ashaar ke saath

आश्नाई कभी अपनी भी थी दो चार के साथ
महफ़िलों में जो बुलाते बड़े इसरार के साथ

हमने उनको है रखा दिल में सजाकर ऐसे
जैसे तस्वीर लगा दे कोई दीवार के साथ

शहर का एक ही अख़बार जो सच बोलता था
हाथ उसने भी मिलाया हुआ सरकार के साथ

और देता है तो दे दर्द-ए-मुहब्बत ज़ालिम
लुत्फ़ आता है मुझे जीने में आज़ार के साथ

कल तलक जिसको सिखाया था पकड़ना छूरी
मुझको ही काट रहा है वो बड़े प्यार के साथ

बाप की पगड़ी की भी शान तुझे है रखनी
इज़्ज़त-ए-नफ़्स जुड़ा है मियाँ दस्तार के साथ

पिछली सर्दी में थी शादी मेरी महबूबा की
फूल भी ले गया था मैं वहाँ उपहार के साथ

मुझको ये इल्म है वो अब भी है दुश्मन मेरा
फूल क्यों लाया है फिर यार वो तलवार के साथ

आपकी बज़्म में आना था तो यारो हमने
ये ग़ज़ल पेश की है ताज़े से अशआर के साथ

- Amit Gautam
0 Likes

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari