jab bhi aankhon mein tire vasl ka lamha chamka
chashm-e-be-aab ki dahleez pe dariya chamka
fasl-e-gul aayi khule baagh mein khushboo ke alam
dil ke saahil pe tire naam ka taara chamka
aks be-naqsh hue aaine dhundlaane lage
dard ka chaand sar-e-baam-e-tamanna chamka
rang azaad hue gul ki girah khulte hi
ek lamhe mein ajab baagh ka chehra chamka
pairhan mein bhi tira husn na tha hashr se kam
jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka
dil ki deewaar pe udte rahe malboos ke rang
der tak un mein tiri yaad ka saaya chamka
rooh ki aankh chaka-chaund hui jaati hai
kis ki aahat ka mere kaan mein naghma chamka
lahren uth uth ke magar us ka badan choomti theen
vo jo paani mein gaya khoob hi dariya chamka
hijr panpaa na tira vasl hamein raas aaya
kisi maidaan mein taara na hamaara chamka
jaise baarish se dhule sehan-e-gulistaan ajmad
aankh jab khushk hui aur vo chehra chamka
जब भी आँखों में तिरे वस्ल का लम्हा चमका
चश्म-ए-बे-आब की दहलीज़ पे दरिया चमका
फ़स्ल-ए-गुल आई खुले बाग़ में ख़ुश्बू के अलम
दिल के साहिल पे तिरे नाम का तारा चमका
अक्स बे-नक़्श हुए आइने धुँदलाने लगे
दर्द का चाँद सर-ए-बाम-ए-तमन्ना चमका
रंग आज़ाद हुए गुल की गिरह खुलते ही
एक लम्हे में अजब बाग़ का चेहरा चमका
पैरहन में भी तिरा हुस्न न था हश्र से कम
जब खुले बंद-ए-क़बा और ही नक़्शा चमका
दिल की दीवार पे उड़ते रहे मल्बूस के रंग
देर तक उन में तिरी याद का साया चमका
रूह की आँख चका-चौंद हुई जाती है
किस की आहट का मिरे कान में नग़्मा चमका
लहरें उठ उठ के मगर उस का बदन चूमती थीं
वो जो पानी में गया ख़ूब ही दरिया चमका
हिज्र पनपा न तिरा वस्ल हमें रास आया
किसी मैदान में तारा न हमारा चमका
जैसे बारिश से धुले सेहन-ए-गुलिस्ताँ 'अजमद'
आँख जब ख़ुश्क हुई और वो चेहरा चमका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Chehra Shayari Shayari