ham is tameez ke saath us ke paas baithe hain
ki jaise shah ke qadmon mein daas baithe hain
bas ek tu hai jise dost bolta hoon main
vagarna saath mein aise pachaas baithe hain
main is liye bhi kabhi khul ke hans nahin paata
udaas log mere aas-paas baithe hain
bithaate waqt mujhe dil mein ye kaha us ne
ye vo jagah hain jahaan log khaas baithe hain
हम इस तमीज़ के साथ उस के पास बैठते हैं
कि जैसे शाह के क़दमों में दास बैठते हैं
बस एक तू है जिसे दोस्त बोलता हूँ मैं
वगर्ना साथ में ऐसे पचास बैठते हैं
मैं इस लिए भी कभी खुल के हँस नहीं पाता
उदास लोग मिरे आस-पास बैठते हैं
बिठाते वक़्त मुझे दिल में ये कहा उस ने
ये वो जगह हैं जहाँ लोग ख़ास बैठते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amulya Mishra
our suggestion based on Amulya Mishra
As you were reading Sad Shayari Shayari