tasalli | "तसल्ली"

  - Anand Raj Singh

tasalli

tasalli ab bhi zinda hai magar afsos itna hai
na khul baat karti hai na ziyaada saans leti hai
faqat deemak-zada veeraan kamre aur
tanhaa teergi mein sar jhukaaye saans leti hai
kisi khush-baas mausam mein
khamoshi todti hai bolti hai gungunaati hai
o mere yaar gham mat kar
vo ik din laut aayegi tujhe apna banaayegi
bitaaye chaar saalon mein naye mausam nahin dekhe
nayi khwaahish nahin utthi
naya kab saal aata hai
ye saare hi purane hain
wahi deemak-zada veeraan kamra
wahi aaghosh mein baithi udaasi
tasalli ke tamaashe ne tamasha kar diya mujhko
tasalli ke tamaashe mujhse ab dekhe nahin jaate
amaan ye jaanleva hai tasalli
tere vaade kii bewa hai tasalli

"तसल्ली"

तसल्ली अब भी ज़िन्दा है मगर अफ़्सोस इतना है
न खुल बात करती है न ज़्यादा साँस लेती है
फ़क़त दीमक-ज़दा वीरान कमरे और
तन्हा तीरगी में सर झुकाए साँस लेती है
किसी ख़ुश-बास मौसम में
ख़मोशी तोड़ती है बोलती है गुनगुनाती है
ओ मेरे यार ग़म मत कर
वो इक दिन लौट आएगी तुझे अपना बनाएगी
बिताए चार सालों में नए मौसम नहीं देखे
नई ख़्वाहिश नहीं उट्ठी
नया कब साल आता है
ये सारे ही पुराने हैं
वही दीमक-ज़दा वीरान कमरा
वही आग़ोश में बैठी उदासी
तसल्ली के तमाशे ने तमाशा कर दिया मुझको
तसल्ली के तमाशे मुझसे अब देखे नहीं जाते
अमाँ ये जानलेवा है तसल्ली
तेरे वादे की बेवा है तसल्ली

  - Anand Raj Singh

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Raj Singh

As you were reading Shayari by Anand Raj Singh

Similar Writers

our suggestion based on Anand Raj Singh

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari