toot jaata hai silsila kaisa | टूट जाता है सिलसिला कैसा

  - Ananya Rai Parashar

toot jaata hai silsila kaisa
uska mujhse hai raabta kaisa

ab kahaan fikr kisko duniya mein
shakl hai kaisi aaina kaisa

hai idhar hijr aur udhar hai vasl
ho gaya mujhpe haadsa kaisa

aish hi aish hai tumhaari ab
jab nahin main to mas'ala kaisa

jiski manzil nahin ho tum jaanaan
raasta hai vo raasta kaisa

itni khaamoshi itni veeraani
kaun batlaaye shor tha kaisa

tumko mehnat se vaasta hi nahin
apni qismat se aasraa kaisa

dekho sindoor maang mein meri
maine rakha hai aasraa kaisa

dard jab sher mein nahin aaye
kya radeef iski qaafiya kaisa

log khoye hue hain sehraa mein
ye zamaana bhi ho gaya kaisa

ek qashti aur aag ka dariya
raat dekha jo khwaab tha kaisa

shayari ka suroor chaaya raha
din bhi guzra hai aaj ka kaisa

tum wahan main yahan vo aur kahin
uff ye aakhir hai maamlaa kaisa

ek lamhe mein toote saare qasam
tum ye to kah do saath tha kaisa

koi aata hai par vo dikhta nahin
saath mere ye vasvasa kaisa

jab na ladke ka dayra kuchh bhi
ek ladki ka dayra kaisa

main hoon maasoom aur saza bhi mujhe
tera munsif ye faisla kaisa

rooh se rooh ka hai rishta jab
phir shikaayat mein faasla kaisa

jaan le jaata hai ye kaafi nahin
zehar ka yaar zaayka kaisa

gul nahin titliyaan nahin bhanware nahin
phir ye mausam bhi khushnuma kaisa

tum ananya na sabse dil se milo
de rahein log mashwara kaisa

टूट जाता है सिलसिला कैसा
उसका मुझसे है राबता कैसा

अब कहाँ फ़िक्र किसको दुनिया में
शक़्ल है कैसी आईना कैसा

है इधर हिज्र और उधर है वस्ल
हो गया मुझपे हादसा कैसा 

ऐश ही ऐश है तुम्हारी अब
जब नहीं मैं तो मसअला  कैसा

जिसकी मंज़िल नहीं हो तुम जानां
रास्ता है वो रास्ता कैसा

इतनी ख़ामोशी इतनी वीरानी?
कौन बतलाए शोर था कैसा

तुमको मेहनत से वास्ता ही नहीं
अपनी क़िस्मत से आसरा कैसा

देखो सिंदूर मांग में मेरी
मैंने रक्खा है आसरा कैसा

दर्द जब शेर में नहीं आए
क्या रदीफ़ इसकी क़ाफ़िया कैसा

लोग खोये हुए हैं सेहरा में
ये ज़माना भी हो गया कैसा

एक क़श्ती और आग का दरिया
रात देखा जो ख़्वाब था कैसा

शायरी का सुरूर छाया रहा
दिन भी गुज़रा है आज का कैसा

तुम वहाँ, मैं यहाँ वो और कहीँ
उफ़्फ़ ये आख़िर है मामला कैसा

एक लम्हें में टूटे सारे क़सम
तुम ये तो कह दो साथ था कैसा

कोई आता है पर वो दिखता नहीं
साथ मेरे ये वसवसा कैसा

जब न लड़के का दायरा कुछ भी
एक लड़की का दायरा कैसा

मैं हूँ मासूम और सज़ा भी मुझे
तेरा मुंसिफ़ ये फ़ैसला कैसा

रूह से रूह का है रिश्ता जब
फिर शिकायत में फ़ासला कैसा

जान ले जाता है ये काफ़ी नहीं
ज़हर का यार ज़ायका कैसा

गुल नहीं तितलियां नहीं भँवरे नहीं
फिर ये मौसम भी ख़ुशनुमा कैसा

तुम 'अनन्या' न सबसे दिल से मिलो
दे रहें लोग मशवरा कैसा

  - Ananya Rai Parashar

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ananya Rai Parashar

As you were reading Shayari by Ananya Rai Parashar

Similar Writers

our suggestion based on Ananya Rai Parashar

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari