shab-e-gham aur bhi kaatni hai abhi
ki ye to dukh ki ik ghadi hai abhi
aage jo hoga dekha jaayega
kal ki chinta mein kyun dukhi hai abhi
bure waqton se aap ghabraayein
ki hamein kaun si khushi hai abhi
kyun chalen ham sab ek raaste par
chaar-soo jab zamee padi hai abhi
maut bhi taale se tali hai kabhi
koi shay hai jo rokti hai abhi
tere bin kis tarah jiyeenge ham
ki ye to pehli raat hi hai abhi
jo hai jaisi hai kaatni hai sehar
sabr kar zindagi padi hai abhi
anjali sehar
शब-ए-ग़म और भी काटनी है अभी
कि ये तो दुख की इक घड़ी है अभी
आगे जो होगा देखा जाएगा
कल की चिंता में क्यूँ दुखी है अभी
बुरे वक़्तों से आप घबराएँ
कि हमें कौन सी ख़ुशी है अभी
क्यूँ चलें हम सब एक रस्ते पर
चार-सू जब ज़मी पड़ी है अभी
मौत भी टाले से टली है कभी
कोई शय है जो रोकती है अभी
तेरे बिन किस तरह जिएँगे हम
कि ये तो पहली रात ही है अभी
जो है जैसी है काटनी है 'सहर'
सब्र कर ज़िंदगी पड़ी है अभी
अंजली सहर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjali Sahar
our suggestion based on Anjali Sahar
As you were reading Raat Shayari Shayari