iska matlab ki zindagi dukh hai | इसका मतलब कि ज़िन्दगी दुख है - Anjali Sahar

iska matlab ki zindagi dukh hai
sab yahi kahte hain ajee dukh hai

is nayi nasl ke hain dheron dukh
pehla dukh waqt ki kami dukh hai

aur sunaao ki kaisi kat rahi hai
aur to kya hai bas wahi dukh hai

mujhe mera mizaaj le dooba
is zamaane mein saadgi dukh hai

jab se ik shakhs chhod kar gaya hai
meri sabse badi khushi dukh hai

vaise to tera dukh bada dukh tha
tere baad ab teri kami dukh hai

ab to ye bhi samajh se baahar hai
kis ka dukh hai jo waqai dukh hai

mujhe sabne yahi bataaya hai
ki tere seene mein koi dukh hai

main tumhein bhoolne lagi hoon ab
main samjhti thi daaimi dukh hai

aur to kya kamaaya hai hamne
saara sarmaaya bas yahi dukh hai

इसका मतलब कि ज़िन्दगी दुख है
सब यही कहते हैं अजी दुख है

इस नई नस्ल के हैं ढ़ेरों दुख
पहला दुख वक़्त की कमी दुख है

और सुनाओ कि कैसी कट रही है
और तो क्या है बस वही दुख है

मुझे मेरा मिज़ाज ले डूबा
इस ज़माने में सादगी दुख है

जब से इक शख़्स छोड़ कर गया है
मेरी सबसे बड़ी ख़ुशी दुख है

वैसे तो तेरा दुख बड़ा दुख था
तेरे बाद अब तेरी कमी दुख है

अब तो ये भी समझ से बाहर है
किस का दुख है जो वाक़ई दुख है

मुझे सबने यही बताया है
कि तेरे सीने में कोई दुख है

मैं तुम्हें भूलने लगी हूँ अब
मैं समझती थी दाइमी दुख है

और तो क्या कमाया है हमने
सारा सरमाया बस यही दुख है

- Anjali Sahar
7 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anjali Sahar

As you were reading Shayari by Anjali Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Anjali Sahar

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari