baantkar roti ke tukḍon ko tu khaana seekh le
tu meri jaan zindagi mein muskurana seekh le
sahilon pe waqt guzrega nahin hardam yun hi
tu samandar ki tarah se aana jaana seekh le
chaand-taaron se kabhi raushan nahin hote makaan
tu charagon ko yun raaton mein jalana seekh le
ashq hain aayenge aankhon ki yahi taaseer hai
baarishon mein doobkar phir bheeg jaana seekh le
muflisi dil ko kabhi mehsoos na hone lage
ishq karne ki ada tu jaan-e-jaanaan seekh le
बाँटकर रोटी के टुकड़ों को तू खाना सीख ले
तू मेरी जाँ ज़िन्दगी में मुस्कुराना सीख ले
साहिलों पे वक़्त गुज़रेगा नहीं हरदम यूँ ही
तू समंदर की तरह से आना जाना सीख ले
चाँद-तारों से कभी रौशन नहीं होते मकाँ
तू चरागों को यूँ रातों में जलाना सीख ले
अश्क़ हैं! आएँगे! आँखों की यही तासीर है
बारिशों में डूबकर फिर भीग जाना सीख ले
मुफ़लिसी दिल को कभी महसूस न होने लगे
इश्क़ करने की अदा तू जान-ए-जानाँ सीख ले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by anupam shah
our suggestion based on anupam shah
As you were reading Nature Shayari Shayari